Islamic Hadees in Roman Urdu | Hadith in Roman Urdu | Daily Hadees in Roman Urdu

Islamic Hadees in Roman Urdu | Hadith in Roman Urdu | Daily Hadees in Roman Urdu


Islamic Hadees in Roman Urdu | Hadith in Roman Urdu | Daily Hadees in Roman Urdu



Hadith in Roman Urdu

Rasoolullah ï·º ne farmaya: ke sab se umdah istaghfaar yeh hai 'Allahumma anta rabbi la ilaha illa ant, khalaqtani wa ana abduka, wa ana ala ahdika wa wa’dika mastata‘tu, aboo’u laka bini’matika, wa aboo’u laka bi zanmbi, faghfir li, fa’innahu la yaghfiruz zunuba illa ant, a’oozu bika min sharri ma sana’tu.


🔹Tarjuma: Aye Allah! Tu mera paalne wala hai, tere siwa koi ma’bood nahi. Tu ne mujhe paida kiya aur main tera banda hun aur main tere ahad par qayam hun aur tere waade par, jahan tak mujh se mumkin hai. Teri ne’mat ka talabgaar ho kar teri panah mein aata hoon aur apne gunahon se teri panah chahta hun, pas tu meri maghfirat farma kyun ke tere siwa gunah aur koi nahi maaf karta. Main teri panah maangta hun apne bure kaamon se.

Agar kisi ne raat hote hi ye keh liya aur ussi raat uska inteqal ho gaya to wo jannat mein jaayega. Ya (farmaya ke) wo ahl-e-jannat mein hoga. Aur agar ye dua subah ke waqt padhi aur ussi din uski wafaat ho gayi to bhi aisa hi hoga yani jannat mein jayega.


Post a Comment

0 Comments