Islamic Hadees in Roman Urdu | Hadith in Roman Urdu | Daily Hadees in Roman Urdu | By:- Safar_e_aakhirat
Nabi kareem ï·º ne farmaya: jis ne hasan aur Hussain se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki, aur jis ne in dono se dushmani (bugz) ki us ne mujh se dushmani ki.
Wazahat:- Mohabbat ka taqaza ye hai ke unke ehteraam ke saath unke naqshe qadam par chala jaye, magar afsos duniya ke naam nihaad musalmano ne is mahine ki hurmat (khaas kar 10 moharram) ko pamaal kar diya aur is ki tareekhi hesiyat ko faramosh kar diya aur is ki sharai hesiyat ko zang alood kar ke noha maatam dhol tasha band wa baaja aur digar munqeraat mein pad gaye. Ummat ke kuch nafarmaan log jinho ne jehalat zad aur nafs parasti ke tahat ahkaam e shariyat mein manmani tabdeeli kar li hain. Amma Aisha r.a bayan karti hain ke Aap ﷺ ne farmaya: *jis ne hamare deen mein koi aisi chiz nikali jo isme nahi thi woh radd hai* [📚 Bukhari: 2697]. Yaani aise (naye) amal ka deen e islam se koi talluk nahi.
Sunan ibne majah: jild 1, kitab Al Muqadama 1, hadith no. 143

0 Comments